Would you like to react to this message? Create an account in a few clicks or log in to continue.


 
HomeHome  GalleryGallery  Latest imagesLatest images  SearchSearch  RegisterRegister  Log inLog in  

 

 Poetry From Favourite Poets...

Go down 
2 posters
AuthorMessage
M. Waqas Jan
Admin
M. Waqas Jan


Male Number of posts : 914
Age : 34
Registration date : 2008-10-29

Poetry From Favourite Poets... Empty
PostSubject: Poetry From Favourite Poets...   Poetry From Favourite Poets... Icon_minitimeWed Dec 17, 2008 10:54 am

Assalam U alikum dear Friends Smile .

Main ne dekha k forum par har poetry k liye ek alag posts banai jarahi hain :!: ,

So i thought k instead of making new posts for every poetry or poet hum ek
hi jagah apnay favourite poet ki poetries post karain Smile

is se humain ek hi jagah alag alag great poets ki khoobsurat shayiri parhnay ka moqa bhi milayga....

So friends what you thinking for???
Come on and start posting your favourite poetries here in this thread,
And remember poet ka naam agar possible ho tu zarur post karna Smile

Have fun posting here cheers
Back to top Go down
http://shayirionline.blogspot.com
M. Waqas Jan
Admin
M. Waqas Jan


Male Number of posts : 914
Age : 34
Registration date : 2008-10-29

Poetry From Favourite Poets... Empty
PostSubject: Re: Poetry From Favourite Poets...   Poetry From Favourite Poets... Icon_minitimeMon Jan 05, 2009 10:24 am

Main Aisi Muhabbat Karta Hoon!

Naakam nahin nashaad nahin
Main Qais nahin Farhad nahin
Punnon bhi nahin Ranjha bhi nahin
Wamiq bhi nahin Mirza bhi nahin
Wo log tu bas afsaana thay
Is shiddat se baygaana thay
Main zinda ek haqiqat hoon
Sar ta pa jazba-e-ulfat hoon
Main tunko dekh ke jeeta hoon
Har lamha tum pay marta hoon
Main aisi muhabbat karta hoon
Tum kesi muhabbat karti ho?

Tum jahan pay bath ke jati ho
Jis cheez ko haath lagati ho
Main wahin pay betha rehta hoon
Us cheez ko chota rehta hoon
Main aisi muhabbat karta hoon
Tum kesi muhabbat karti ho?

Tum jis se hans ke milti ho
Main us ko dost banata hoon
Tum jis rastay pay chalti ho
Main us se aata jata hoon
Main aisi muhabbat karta hoon
Tum kesi muhabbat karti ho?

Tum jin ko dekhti rehti ho
Wo khuwaab sirhaanay rakhta hoon
Main tum se milnay julnay ke
Kitnay hi bahanay rakhta hoon
Main aisi muhabbat karta hoon
Tum kesi muhabbat karti ho?

Kuch khwab saja kar aankhon main
Palkoon se moti chunta hoon
Koi lams agar cho jaye tu
main pahroon tum ko sochta hoon
Main aisi muhabbat karta hoon
Tum kesi muhabbat karti ho?

Jin logon main tum rehti ho
Tum jin se batain karte ho
Jo tum se hans ke miltay hain
Jo tum achay lagtay hain
Wohi mujh ko achay lagtay hain
Main aisi muhabbat karta hoon
Tum kesi muhabbat karti ho?

Jis baagh main subah ko jaatay ho
Jis sabzay par tum chaltay ho
Jo shaakh tumhain cho jati hai
Jo khushboo tum ko bhati hai
Wo aos tumharay chehray par
Jo qatra qatra girti hai
Wo titli chor ke pholoon ko
Jo tumse milnay aati hai
Jo tum ko cho ne aati hai
Un sab naazuk jazboon main
Mere dil ki dharkan basti hai
Meri rooh bhi shaamil rehti hai
Tum paas raho ya dor raho
Nazroon main samaye rehti ho
Main tum ko takta rehta hoon
Main tum ko sochta rehta hoon
Main aisi muhabbat karta hoon
Tum kesi muhabbat karti ho?

Jis college main tum parhti ho
Main us main lecture deta hoon
Wo class jahan tum hoti ho
Main us ko takta rehta hoon
Jis kursi pay tum bethti ho
Main us ko cho ta rehta hoon
Jo copy tum ne gum ki thi
Main apnay bag main rakhta hoon
Gandla sa ek tissue paper
Jo tum ne class main chora tha
Wo meray purse main rehta hai
Wo meray lams main rehta hai
Wo makhmal hai wo deeba hai
Wo chandi hai wo soona hai
Wo ambar hai wo sandal hai
Wo khushboo ka ek jungle hai

Har manzar main har rastay par
Main saath tumharay hota hoon
Main chashm-e- tassawor se aksar
Bas tum ko dekhta rehta hoon
Main aisi Muhabbat karta hoon
Tum kesi muhabbat karti ho?

Main aisi muhabbat karta hoon...
Batao
Tum kesi muhabbat karti ho???



Main Aisi Muhabbat Karti Hoon!

sherein bhi nahin , lelaa bhi nahin
main heeer nahin , azra bhi nahin
wo qissa hain afsanaa hain
wo geet han prem tarana hain
MAIN zinda aik haqeeqat hun
Main juzba-e-ishq ki shiddat hun
main tumko dekh k jeeti hun
main her pal tum pe merti hon
main aesi muhabat kerti hun
tum kaisi muhabat kertey ho?

jub haath dua ko uthtay hain
alfaaz kahin khoo jatay hain
bus dehaan tumhara rehta hai
aur ansoo behtay rehtey hain
her khowab tumhara pora ho
is Rub ki minnat kerti hun
main aesi muhabat kerti hon
tum kaisi muhabat kertey ho?

mujhay thundak raas nahin aati
mujhay barish se khauf aata hai
per jis din se maloom huaa
ye mosum tumko bhaataa hai
ab jub bhi sawan aataa hai
baarish mein bheegtii rehti hon
qatroon mein tumhi ko dhondti hun
bondoon se tumhara pochtii hun
main aesi muhabat kerti hun
tum kaisi muhabat kertey ho?

tum jub bhi gher per aatay ho
aur sub se baatein kertey hoo
main aoot se perdey ki jaanaa'n
bus tumko dekhti rehti hon
ik tumko dekhnay ki khaatir
main kitni pagal hoti hun
main aesi muhabat kerti hun
tum kaisi muhabat kertey ho?

jub darwazay per dustak ho
yaa ghanti phone ki bajti ho
main chohrr k sub kuch bhaagti hon
per tumko jub nahin paati hon
jee bher k roonay lagti hon
main aesi muhabat kerti hon
Tum kesi muhabbat karte ho???

Main aisi muhabbat karti hoon
batao
Tum kesi muhabbat kartay ho???


Khalil-ul-llah Farooqi
Back to top Go down
http://shayirionline.blogspot.com
M. Waqas Jan
Admin
M. Waqas Jan


Male Number of posts : 914
Age : 34
Registration date : 2008-10-29

Poetry From Favourite Poets... Empty
PostSubject: Re: Poetry From Favourite Poets...   Poetry From Favourite Poets... Icon_minitimeMon Jan 05, 2009 10:28 am

Sub Tumharay Liye

Sub tumharay liye
Jaan-e-jaan ye jahan
Ye zameen aasmaan
Ye meray raat din
Khaak hain teray bin
Ye meri zindagi
Dosti dushmani
Raastay, waastay
Sub tumharay liye
Tum jo dekhotum tu meray shub-o-roz ko
Koi matlab milay
Tum jo pocho meray har ek harf ko
Koi rutba milay, Koi mansab milay
Tum jo meray waastay kuch kabhi
Main sitaron ko muthi bhar laon ga
Tum agar ek din mujhko aawaz do
Main jahan par bhi hoon, Lot kar aaonga
Ye meray jism-o-jaan
Meray sher-o-sukhan
Meri aabaadyaan
Meri tanhaaiyaan
Meri har aarzo
Meri mayosiyaan
Ab tumharay liye
Sub tumharay liye.....

Amjad Islam Amjad
Back to top Go down
http://shayirionline.blogspot.com
saba awaz
Admin
saba awaz


Female Number of posts : 750
Registration date : 2008-11-04

Poetry From Favourite Poets... Empty
PostSubject: Re: Poetry From Favourite Poets...   Poetry From Favourite Poets... Icon_minitimeTue Jan 06, 2009 1:01 pm

Zaberdust ..

1st one mairy most fav poetry hia....

thanks for sharing...
Back to top Go down
M. Waqas Jan
Admin
M. Waqas Jan


Male Number of posts : 914
Age : 34
Registration date : 2008-10-29

Poetry From Favourite Poets... Empty
PostSubject: Re: Poetry From Favourite Poets...   Poetry From Favourite Poets... Icon_minitimeTue Jan 06, 2009 3:05 pm

saba awaz wrote:
Zaberdust ..
1st one mairy most fav poetry hia....
thanks for sharing...

your welcome..
looking for u to participate in this thread too saba....
Back to top Go down
http://shayirionline.blogspot.com
saba awaz
Admin
saba awaz


Female Number of posts : 750
Registration date : 2008-11-04

Poetry From Favourite Poets... Empty
PostSubject: Re: Poetry From Favourite Poets...   Poetry From Favourite Poets... Icon_minitimeThu Jan 08, 2009 5:19 pm

Aankhain Bheeg Jati Hain

Samandar main utarta hoon tu aankhain bheeg jaati hain
Teri aankhon ko parhta hoon tu aankhain bheeg jaati hain,

Tumhara naam likhnay ki ijazat chin gae jab se
Koi bhi lafz likhta hoon tu aankhain bheeg jaati hain,

Teri yaadon ki khushboo khirkiyon main raqs karti hai
Teray ghum main sulagta hoon tu aankhain bheeg jaati hain,

Main hans ke jhail leta hoon judai ki sabhi rasmain
Galay jab uske lagta hoon tu aankhain bheeg jaati hain,

Na janay hogaya hoon is qadar hassaas main kab se
Kisi se baat karta hoon tu aankhain bheeg jaati hain,

Wo sub guzray howe lamhaat mujhko yaad aatay hain
Tumharay khat jo parhta hoon tu aankhain bheeg jaati hain,

Main saara din bahut masroof rehta hoon magar jonhi
Qadam chokhat pe rakhta hoon tu aankhain bheeg jati hain,

Har ek muflis ke maathay par alam ki daastanain hain
Koi chehra bhi parhta hoon tu aankhain bheeg jaati hain,

Baday logon ke oanchay badnuma aur sard mehlon ko
Ghareeb aankhon se takta hoon tu aankhain bheeg jaati hain,

Teray kochay se ab mera ta'alluq wajabi sa hai
Magar jab bhi guzarta hoon tu aankhain bheeg jaati hain,

Hazaron mousamon ki hukmraani hai meray dil par
Wasi main jab bhi hansta hoon tu aankhain bheeg jaati hain,

Samandar main utarta hoon tu aankhain bheeg jaati hain
Teri aankhon ko parhta hoon tu aankhain bheeg jaati hain



Wasi Shah
Back to top Go down
M. Waqas Jan
Admin
M. Waqas Jan


Male Number of posts : 914
Age : 34
Registration date : 2008-10-29

Poetry From Favourite Poets... Empty
PostSubject: Re: Poetry From Favourite Poets...   Poetry From Favourite Poets... Icon_minitimeWed Jan 14, 2009 5:07 pm

Muntazir Kab Se

muntazir kab se tahayyur hai terii taqariir kaa
baat kar tujh par gumaa.N hone lagaa tasviir kaa


raat kyaa soye ki baaqii umr ki neend urh gai
Khwaab kyaa dekhaa ki dha.Dakaa lag gayaa taabeer kaa


jaane tuu kis aalam mein bichraa hai ki tere baghair
aaj tak har lafz fariyaadii meri tehreer kaa

jis tarah baadal kaa saayaa pyaas bharkaataa rahe
main ne vo aalam bhi dekhaa hai teri tasveer kaa

kis tarah paayaa tujhe phir kis tarah khoyaa tujhe
mujh saa munkir bhi to qayal ho gaya taqdeer kaa

ishq mein sar phoranaa bhi kyaa ke ye bemeher log
juu-e-Khoun ko naam dete hain juu-e-shiir kaa

jis ko bhii chaahaa use shiddat se chaahaa hai 'Faraz'
silsila toota nahin dard ki zanjeer kaa..

Ahmad Faraz
Back to top Go down
http://shayirionline.blogspot.com
saba awaz
Admin
saba awaz


Female Number of posts : 750
Registration date : 2008-11-04

Poetry From Favourite Poets... Empty
PostSubject: Re: Poetry From Favourite Poets...   Poetry From Favourite Poets... Icon_minitimeWed Jan 21, 2009 6:12 pm

Main Khayal Hon Kisi Or Ka

Mein Khayal Hoon Kisi Aur Ka
Mujhe Sochta Koi Aur Hai
Sar-E-Aeenah Mera Aks Hai
Pas-E-Aeenah Koi Aur Hai
Mein Kisi Keh Dast-E-Talab Mein Hoon
To Kisi Keh Harf-E-Dua Mein Hoon
Mein Naseeb Hoon Kisi Aur Ka
Mejhe Maangta Koi Aur Hai
Ajab Aitabar-O-Bey Aitabaree
Keh Darmayan Hai Zindagi
Mein Qareeb Hoon Kisi Aur Keh
Mujhe Jaanta Koi Aur Hai
Mujhe Doston Ka Pata Nahin
Mujhey Dushmanon Ki Khabar Nahin
Meri Daastan Koi Aur Thi
Mera Waaqaya Koi Aur Hai
Jo Milen Kabhi Unhen Poochna
Dekhna Unhen Ghaur Sey
Jinhen Raastey Mein Khabar Hui
Keh Yeh Raasta Koi Aur Hai
Jo Meri Reyazat-E-Neem Shab
Ko Saleem Subh Na Mil Saki
To Is Key Mani To Yeh Hue
Keh Yahan Khuda Koi Aur Hai



(Saleem Kausar)
Back to top Go down
M. Waqas Jan
Admin
M. Waqas Jan


Male Number of posts : 914
Age : 34
Registration date : 2008-10-29

Poetry From Favourite Poets... Empty
PostSubject: Re: Poetry From Favourite Poets...   Poetry From Favourite Poets... Icon_minitimeThu Jan 22, 2009 6:33 pm

Poetry From Favourite Poets... Kab_ya12

Faiz Ahmad Faiz
Back to top Go down
http://shayirionline.blogspot.com
M. Waqas Jan
Admin
M. Waqas Jan


Male Number of posts : 914
Age : 34
Registration date : 2008-10-29

Poetry From Favourite Poets... Empty
PostSubject: Re: Poetry From Favourite Poets...   Poetry From Favourite Poets... Icon_minitimeSun Jan 25, 2009 8:20 pm

Hai Dua Yaad Magar!


hai duaa yaad mager harf-e-duaa yaad naheen
merey naghmaat ko andaz-e-nawaa yaad naheen

hum ne jin ke liye rahoon main bichaya tha lahoo
hum se kehtey hain wohi ehd-e-wafa yaad naheen

zindagee jabr-e-musalsal ki terha kaati hai
janey kis jurm ki pai hai saza yaad naheen

main ne palkoon se der-e-yaar peh dastak di hai
main woh saa-il hoon jisey koi sadaa yaad naheen

kaisey bher aain ser-e-shaam kisi ki aankhain
kaisey theraaii charaghoon ki zayaa yaad naheen

sirf dhundlaye sitaroon ki chamak daikhee hai
kab hua kon hua mujh se khafa yaad naheen

aaoo ik sajdah kerain alam-e-madhooshi main
log kehtey hain keh sagher ko khuda yaad naheen



Saghar Siddiqui
Back to top Go down
http://shayirionline.blogspot.com
M. Waqas Jan
Admin
M. Waqas Jan


Male Number of posts : 914
Age : 34
Registration date : 2008-10-29

Poetry From Favourite Poets... Empty
PostSubject: Re: Poetry From Favourite Poets...   Poetry From Favourite Poets... Icon_minitimeTue Feb 17, 2009 3:59 pm

Andheri raat ke aangan main
Ye subah ke qadmon ki aahat
Ye bheegi bheegi sard hawa
Ye halki halki dhundlahat
Gari main hoon tanha mah'o safar
Aur neend nahin hai aankhoon main
Bhoolay bisray armaanon ke
Khuwaboon ki zameen hai aankhon main
Aglay din hath hilaatay hain
Pichli peetin yaad aati hain
Gum ghashta khushyaan aankhon main
Aanso ban kar lahraati hain
Seenay ke weeran goshon main
Ek tais si karwat leti hai
Wo rahain zahen main ghoomti hain
Jin raahon se aaj aaya hoon
Kitni ummeed se puhncha tha
Kitni mayoosi laya hoon....


By: Sahir Ludhyanvi
Back to top Go down
http://shayirionline.blogspot.com
saba awaz
Admin
saba awaz


Female Number of posts : 750
Registration date : 2008-11-04

Poetry From Favourite Poets... Empty
PostSubject: Re: Poetry From Favourite Poets...   Poetry From Favourite Poets... Icon_minitimeWed Feb 18, 2009 1:19 pm

Kub kon kisi ka hota hia
Sub jhootay rishtay naatey hain
Sub dil rakhne ki batain hain
Sub asli roop chupatey hain
Akhlas se khali log yahan
Lafzoon k teer chalatey hain
Ek bar nighahon may aa ker
Phir sari umer rulatey hain
Chalo aao jis ney dukh diya FARAZ
Aj us ko bhool jatey hain


Ahmed Faraz
Back to top Go down
saba awaz
Admin
saba awaz


Female Number of posts : 750
Registration date : 2008-11-04

Poetry From Favourite Poets... Empty
PostSubject: Re: Poetry From Favourite Poets...   Poetry From Favourite Poets... Icon_minitimeWed Feb 18, 2009 1:35 pm

Wo jazbey cheen lu mujh sey
Ju maire ung, mairi rooh , maire dil may baste hain
Jinhain khud may samooney k liye seenay tarastey hain

Wo lamhey cheen lu mujh se
Ju maire zahen ki tarikion may shama roshan hain
mairi khalwout ki khushbu hai,mairi yaddon k gulshan hain

Wo chehray cheen lu mujh se
Ju khad-o-khal nahin ab aeiney main mairi seerat k
Ju yeh pahlu se aks zofishan hain mairi sooret k

Wo rishtey cheen lu mujh se
Ju mairey zahen-o-dil may roshni k beij bootay hain
Ju rug rug may lahou ki chaap sey mansoub hotey hain

Wo ankhain cheen lu mujh se
Ju mairi rouha ko nouha hain, mairi zaat ka lahja hai
Jahan dhalta hia,aeinon may ehsasat ka lahja


Wo sapney cheen lu mujh se
Ju in veeran ankhon may abhi taluk jagmagatay hain
Abhi tuk sans laite hain,abhi tuk muskurate hain


Yeh sub kuch cheen lu mujh se
Mager Ey Zalimo ! Mujh se maira ehsas mut cheeno
Tulb ki anhain mut cheeno
Ju maire zabt ki pahchan hai,Wo pyas mut cheeno

Maira Ehsas Mut Cheeno.....


Aitbar Sajid
Back to top Go down
saba awaz
Admin
saba awaz


Female Number of posts : 750
Registration date : 2008-11-04

Poetry From Favourite Poets... Empty
PostSubject: Re: Poetry From Favourite Poets...   Poetry From Favourite Poets... Icon_minitimeWed Feb 18, 2009 1:41 pm

Aaj zara furset payi,aaj use phir yaad kiya
Bund gali k akhir ghar ko khuol k phir abaad kiya
Khuol k khirki chand hansa phir chand ne dono hathon se
Rung uraye,phool khilaye,chirion ko azad kiya
Baday baday gham kharay hoye thay,rasta rokey rahon may
Choti choti khushion se hum ne dil ko shaad kiya
Baat buhat mamouli c thi,Uljh gayi tukraron may
Aik zara c zid ne dono ko berbad kiya
Danaaon ki baat na mani,kaam ayi nadani hi
Suna hawa ko,perha nadi ko.musam ko ustaad kia...


Nida Faazli
Back to top Go down
M. Waqas Jan
Admin
M. Waqas Jan


Male Number of posts : 914
Age : 34
Registration date : 2008-10-29

Poetry From Favourite Poets... Empty
PostSubject: Re: Poetry From Favourite Poets...   Poetry From Favourite Poets... Icon_minitimeWed Feb 18, 2009 6:40 pm

Aao Kahin Door Chalen
Jahan Koi Na ho Humare Siwa Sirf
Main or Tum
Jahan Kuch Wadde Kar saken
Jahan Kuch Qasmeen Kha Saken
Jahan Koi Naghma Gunguna Saken
Dhemee Dhemee Madhum Madhum
Main or Tum
Bohat Sari Baateen Karni hai Mujh ko
Bohat Kuhc Kehna hai Tum ne
Bohat Si Uljhaneen Dorr Karni hain
Galat Fehmiyaan Khutum krani hain
Tumhare SHikwe, tumhari Shikayateen
Jin k Jawab dene hain
Azala To Karna hai un ka
Jo Dhaye hain tumhare Dil per Situm
Main or Tum
Jahan Hariyaali ho Her simat
Jahan Bondeen Naye Khuwaboon ko Ahhat deen
Jahan ka Mosam Chehroon ko Muskurahat Deen
Ho jaye Jahan Gum Sum
Main or Tum
Bas Main or Tum


Khuwaja Aatish Ali Haidar
Back to top Go down
http://shayirionline.blogspot.com
Sponsored content





Poetry From Favourite Poets... Empty
PostSubject: Re: Poetry From Favourite Poets...   Poetry From Favourite Poets... Icon_minitime

Back to top Go down
 
Poetry From Favourite Poets...
Back to top 
Page 1 of 1
 Similar topics
-
» ~*~...My Poetry...~*~
» Your Favourite Naat Sharif??

Permissions in this forum:You cannot reply to topics in this forum
 :: ShayiriOnline :: Your Favourite Poetry-
Jump to: